Wednesday, September 20

Ek Masoom ki Biography




Beethe the kuch ladke
Mandir ki sarhad par
Barrish ki boonde tapki
Par naam laga kisi par...

laga ki unko mano
ki thuka ho kisi ne
jaa rahe the Muslim ladke
naam aya phir unhi par...

Pakde gaye jo who
To pucha gaya ki “Kyon?”
Sawaloon ke kathghare main
Peeta gaya unhe phir...

Tha ek neta regional
Who tha pura communal
Usko laga ki hai yeh
Vote batorne ka waqt...

bulaye usne supporter
bhashan diya unhe phir
kyon dekh rahe ko tum
mandir ko khada rehte...

logo ka kya tha
teyyar the woh to
jaise hi suna jo bhasan
gira diya mandir ko...

mandir ka girna th ki
mano aag lagi jungle main
feli sab taraf khabar yeh
aur much gaya bawandar...

Raat ke andhre main
Ek Ladk Nikla Ghar Se
Apni beemar maan ki,
Dawa lene ke liye...

Ladke ki this kismet kharab
Maa ko hona tha tabhi beemar
Par usse bhi kya pata tha
Ki maut to hai bahar...

Ladka chala ja raha tha
Bas apni hi dhun main
samne aa gaya ki
kuch “Dharmo” ka samundar...

Poochne lage ladke se
Ki tera naam kya hai
Ladka ne bola naam
To sab reh gaye herran...

Ram Mohammad naam th auska
Aur jaat hinndustani
poocha gaya ki sach bola
jeene nahi denge nahi to aaj...

Garib ko lag gaya ki
Marna hai use aaj
To kyon na jaane se pehle
Sikha do insaniayat ka path...

Bola who ki tum log
Ho kis jat ke???
Agar ho hindu to main Ram
Agar ho muslim to mohammad...

tum mujhe kymaroge
maroge to us ko
mar kar bhi jo to
rahega insaan hi...

khuda ho ya bhagwan
banata hai dono insaan
warq to karta hai woh
jo insane ban beetha hai shaitan...

Itna sunna tha ki
“Dharmo” ko gussa aya
aur maro maro saale ko
unme se ek chillaya...

kisi ne haath
kissi ne paav
to kisi ne
Chaku bhi chalaya...

mara gaya woh ladka
lekin nahi akela
badel main le gaya who
un sub ki insaniyat...

Tabhi hua ghanghor andhera
Aur badal chaye
Aisa laga ki mano
Khud USKO bhi ansoo aye...